content top
Bhur lain banhoon main aur maar hi dalai...
Bandh lain hathoon pay seenay pay saja lain tum ko, Sochtay hain k aik taveez bana lain tum ko, Phir tumhain roz sanwarain tumhain barhta daikhain, Kion na aangun main chunbaili sa laga lain tum ko,
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen ...
Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon sey dil k koney nam naheen hote Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote Bebasee hansne lagee khaamoshi ab hai goonjtee Band kamron men koyee mausam naheen hote
Youn to shikayat khud say roz kia kertay...
Youn to shikayat khud say roz kia kertay hain, Shaam hotay hi khud ko rok lia kertay hain Jaisay mujrim hay bina jurm karay koi, Aisa woh hum say sulook rawan rakhtay hain, Ho na jayai kahin un ka dedar hamain, Is liyay chehray ko chupa rakhtay hain,
Kuchh adhuri khuwahishon ka silsila hai ...
Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi !
Mushkilon ko karta Jo aasan hai...
Mushkilon ko karta Jo aasan hai, WO asal me hi to ek insan hai ! Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de, Buzdili ki uski to pahchan hai ! Zindagi hai ek dariya dard ka, Dard se khele wahi insan hai !
Warna wo meri udasi ka sabab janta hai...
Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai ! Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai ! Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai !
Yah uski bezubaani ka sila hai...
Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai, Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai ! WO chehra gam se kumhlane na paye, Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai ! Tabassum hai labon pe dil me nafarat, Yahi iss daur ka nakse wafa hai !
Bewafa waqat se wafa mange...
Bewafa waqat se wafa mange, Chhod! e dost tu e kya mange ! Doston se bhi dil nahi barham, Bas isi zurm ki saza mange ! Maut aaye to zindagi chahe, Zindagani me jo kaza mange !
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai...
Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai, Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai ! Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi, Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai ! Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan, WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahi...
Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

« Previous Entries